Online paisa kaise kamaye
Online paisa kamana Aasan bhi hai or muskil bhi ab Aap log soch rahe honge ki Aasan bhi hai or muskil bhi ye kese to dimag ke darbazon ko kholkar padhte rahiye kyonki ab mai Aapko bataunga ki muskil kaise hai aur Aasan kaise . Tou Aaiye chalte hai apne topic ki aur.isme mai Aapko kuch points mai bataunga ki Aap kin kin tarikon se online work kar sakte hai.lekin usse pehle Aapko samjhana chaunga ki muskil kaise hai , tou doston muskil un logon ke liye hai jinke paas koi skill nahi hai matlab jo kuch bhi nahi jante na editing karna , na voiceover karna aur na hi text karna . Sabse pehle Aap Apne andar in chijon ko sikhiye -
1.editing karna
2.voiceover karna
3.text karna
Agar Aap in chijon ko seekh loge to Aap ko kisi bhi chij mai muskil nahi Aayegi isiliye Aap in chijon mai kisi na kisi chij ko to sikh jarur lijiye .
- Ab Aasan un logon ke liye hai jinko yeh chijen pata hai . Agar Aapko sirf in teen chijon ka hi gyan hai to Aap online earning kar sakte ho.
Online earning platforms -
1.youtube : jaisa ki Aaj kal youtube ko kon nahi janta bahut hi kam log honge jo youtube ko na jante ho lekin mujhe Aap logon se mtlb hai Aap log jante ho bas bahut hai tou Aap mai se kai log youtube se earning karna bhi jante honge aur kai nahi jinko nahi pata mai unko batana chahta hoon ki Aap log youtube se kaise earning kar sakte ho tou Aap logon ki jankari ke liye bata doon ki youtube pe video or shorts upload karke Aap youtube se earning kar sakte ho lekin Aapko Apni video pe ek quality deni hogi content mai dum dena hoga jisse log Aapki video par click kare or video pura dekhen.umeed hai Aapko samajh Aa gaya hoga.https://youtu.be/yb8at-uLwKA iss video ko dekhne ke baad Aap full editing karna seekh jayenge bo bhi sirf ek hi app se jaldi se video dekhen or seekhen.
2.shutterstock: Agar Aap nahi jante ki shutterstock kya hai tou mai Aap ki jankari ke liye bata doon ki ye ek esa platform hai jahan Aap apne khud se khenche hue photo ko upload karke paisa kama sakte hai mtlb jaise Aapne yahan koi photo upload ki aur koi us image ko Agar download karega to uske paise lagenge agar bo us image ko buy karta hai tou uska kuch hissa company Aap ko bhi deti hai.yeh bhi badhiya platform hai earning karne ke liye Agar Aapko photography ya videography karne ka shouk hai tou Aap isse earning kar sakte hai.
3-blogging : jaise Aapko Agar bolne se jyada likhne ka shouk hai to is platform ke liye perferct hai Aap is par blog likhna chalu kare aur contineu likhte rahe Aapke vlog par traffic Aane lage tab Aap adsense ke liye Approval dekar Apne blog par Ad la sakte hai or inhi ad se Aapki kamayi hogi Aaj maine Aapko teen tarike bataye online earning karne ke Ab bo Aapke upar hai Aap kis par kaam karenge.
Ab miloonga Agle blog par tab tak ke liye
Dhanyabad |
No comments:
Post a Comment