Wednesday, February 1, 2023

Gyan ki Keemat

 Har insan ko Apne jeevan mai gyan hasil karte rehna chaiye.gyan to bo hai jo samudra ki tarah hota hai jiski gehrai koi nahi maap sakta , Aise hi Gyaan hota hai. Jo jitna hasil karega beh utna hi jeevan jeene ki kala seekh sakhegha. Isiliye har insan ko gyan arjit karte rehna chaiye taki jeevan ko kis prakar jeena hai yeh seekh sakhe. Agar kisi vyakti ko jeevan kis prakar jiya jaye yeh samajh Aa jaye to beh badhiya jeevan jee sakta hai. Kitab beh saathi hoti hai jo Agar Aapka sath chodengi bhi tab bhi Aapko kuch na kuch banake hi chodengi isiliye jo vyakti kitabon se gyan prapt kar leta hai us vyakti ka gyan humesha uske saath rehta hai aur kabhi bhi uska maan ghatne nahi deta. 

     



    Dosti karni hi hai to kitabon se karo                 agar saath chodengi bhi to kuch na                   kuch banake.

Agar Aapme gyan hai to kabhi bhi Aapko jhukna nahi padhega ha mai yeh bhi manta hoon ki koi vyakti kitna bhi padhle lekin phir bhi kuch na kuch kami reh hi jati hai lekin Agar Aap gyan ko lena kabhi bhi nahi chodenge to Aapko sansaar mai koi nahi hara sakta gyan ke mamle mai kyonki Agar Aap padhte rahenge tou Aap sansaar ke sawalon ka jawab Aasani se de sakenge kyonki Aapka Kaam hi ho jayega naye - naye sawalon se mulakat karna Aur aisa karte - karte Aap sawalon ka sahi prakar se jawab dena seekh jayenge.

Umeed hai Aapko mai gyan ka ek chota sa mtlb samjhane mai kamyab hua.

Prince pandit |

No comments:

Post a Comment